Prakriti ki baat suno

Suno - suno khe kya yeh prakriti
Kabhi haro na jivan me sikhaye yeh prakriti
Mitti khe ki jivan me prishram ho
Dusro ke jivan me khushiyon ke rang bhro
Panchchhi kahe apni udan se
Khud par sabse jada bharosa karo
Mithe pani ka jharna kahe 
Apna marg khud hi chuno
Kabhi haro na jivan me sikhaye yeh prakriti
Suno - suno kahe kya yeh prakriti
Vriksh kahe ki abhimaan na ho
Har rahi ko samann chhaya do
Suraj kahe ki chahe tum khud ko jala do
Par roshan yeh jahan karo
Chaand kahe thodi si shitalta ho
Jo mila uska sammann karo
Kabhi haro na jivan me sikhaye yeh prakriti
Suno - suno kahe kya yeh prakriti
Nila gagan kahe khud ka itna vistaar karo
Paar na paye koi tumhe itna aakaar karo
Phool kahe yeh mahak - mahak ke 
Dusro ke kaam aana sikho
Paar kar loge har kathinayi ko
Bas kahe kya yeh prakriti suno
Jivan me kamyaab hona kathin nhi
Bas tum sahi raah chuno





टिप्पणियाँ