Jhansi ki rani-my inspiration

Jab koi nhi tha sath uske
Ladi thi vo savaabhimaan ke liye akele
Par gulami ke aage
Ghutne na usne teke
Dhavast kiya usne East India ko
Chhin liya angrajon ke abhiman ko
Jalne nhi diya usne jhansi ko
Chahe jala diya angaro me khud ko

23 saal ki umar me
Jo veergati ko pa gyi
Kya khub thi uski javani
Jo apne mitti ke kaam aa gyi
Khela na jisne kabhi ghrondo se
Vo ghro ko bachane me khud ko mita gyi
Aakhiri waqt me bhi jate-jate
Vo sabko rula gyi
Bachpan bita jiska tir-talvaro me
Antim saans tak use na chod pai
Ban gyi uski bhi kahani
Jo gulami ke janjiro ko tod pai
Deshvasiyo ke dilo me
Aazadi ki jo jvala sulgayi
Bujhi na fir vo jvala
Jab tak aazadi na layi
Kya gajab thi kurbani bhi uski

Jo jhansi ki rani kahlayi


-Salute the real women power

टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

If you want to give me some topic to write poem.You can . Thanks for reading 😌😌😌