Kitaben


Kitaben dost h aisi 
Duniya me na hogi koi jaisi
Hota isme bharpur gyan
Jhank kr dekho jo kabhi
Kitabo ki dosti
Hoti insaano se achchhi
Sare sansaar me, 
Koi na ho iske jaisi
Karti yeh akelepan ko dur
Pdho isse toh aaye vaiktitva me nur
Sikhati yeh hume sirf achchhai
Toh aaj hi suru kro pdhai
Kitabe mitaye jivan se andhera, 
Or sikhaye jina bin sahara
Insaan fanse jab bhi muskilon me
Mitaya har andhere ko uske gyan ne
Or gyan ki prapti,Kitabon se hi pai
Nibhaye jo sachche dil se kitabon ka sath
Toh badle usne hr muskil halat
Kare jo dil se pdhai
Toh ho iss duniya me uski bdhai
Bin pani or sabun ke, 
Nirmal kre yeh vichaar
Kitabo ka gyan jo le, 
Aaye usme asim sdachaar

टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

If you want to give me some topic to write poem.You can . Thanks for reading 😌😌😌