Success ki kimat


Aasan nhi hota success pana
Mehnat ke aag me jal kr
Khud ko padta h jlana
Milti nhi aasani se saflta
Isko pane ke liye bhulna pdta h jmana
Kbhi nind adhuri rh jati h
Toh kbhi chain ko padta h gwana
Kbhi ro kr mehnat krna pdta h
Toh kbhi hum khush h, yeh hota h dikhana
Aasan toh hota h common life
Phir koi kyu psnd krta h khud ko stana
Kitni hi muskil se ldna pdta h
Kitni hi dardo ko pdta h chhupana
But jo spno ke piche pgl hote h
Phir muskil hota h unhe rok pana
Rahe kaisi bhi ho
Unko nzr aata h bs unka nisana
Hr muskilo ko hra kr
Vo pa hi lete h apne spno ka aashiyana


टिप्पणियाँ